Nojoto: Largest Storytelling Platform

aziiz itnā hī rakkho ki jī sambhal jaa.e ab is q

aziiz itnā hī rakkho ki jī sambhal jaa.e 

ab is qadar bhī na chāho ki dam nikal jaa.e 

mile haiñ yuuñ to bahut aao ab mileñ yuuñ bhī 

ki ruuh garmi-e-anfās se pighal jaa.e 

mohabbatoñ meñ ajab hai diloñ ko dhaḌkā sā 

ki jaane kaun kahāñ rāsta badal jaa.e 

zahe vo dil jo tamannā-e-tāza-tar meñ rahe 

ḳhoshā vo umr jo ḳhvāboñ hī meñ bahal jaa.e 

maiñ vo charāġh sar-e-rahguzār-e-duniyā huuñ 

jo apnī zaat kī tanhā.iyoñ meñ jal jaa.e 

har ek lahza yahī aarzū yahī hasrat 

jo aag dil meñ hai vo sher meñ bhī Dhal jaa.e

©Mohd Arsh malik poet ubaidullah aleem 

#Rose