Nojoto: Largest Storytelling Platform

Wo barsaat ka din tha Mujhe yad hai us din usne

Wo barsaat ka din tha 
Mujhe yad hai us din usne 
Muskura kar khsmoshi dikhaii thii, 
Aur mere labon par ek halki laali lgai thi, 
Uski aankhe wo dard bayan karti thi, 
Uski saanse wo jasbaat bayan karti thi, 

Uske aansuon ne boondon ki aant mai se
Kuch youn jhaanka, 
Aur tod diya mere andar ka ahem, 
Wo pahli barsaat thi jisme mai bahar se bheega
Aur ander se sookh chuka tha, 
Man hi man apne se kai sawal pooch chuka tha, 
Ki aakhir kun tum mujhse 
ab bhi itni mohabbat karti ho, 

Shayad iska jawab uski bolti aankhe de rahi thi 
Mne uski halki kaapti unglion ko 
pakda aur use gale laga kar kaha 
Merii jaan mujhe maaf kardo. 
Bas ye sunkar uske aansun boondon ki dahleez 
tod kar baahar aaye 
Aur bah-kar jab meri gardan ko chua to pata chala 
Aansun aur pani mai fark kya hai. Vo barsaat ka din tha