Nojoto: Largest Storytelling Platform

Apni uljhan ko badane ki jarurat kya hai, chhorna

Apni uljhan ko badane ki jarurat kya hai, chhorna hai to bahane ki jarurat kya hai, lag chuki aag to lazim dhuwa uthega, dard ko dil mein chhupane ki jarurat kya hai.
Umarr bhar rehna hai tabeer se agar door tumhe fir mere khwabon mein aane ki jarurat kya hai, ajnabi rang chalakta ho agar aankhon se unse fir haath milane ki jarurat kya hai.
Aaj baithe hai tere paas kai dost naye ab tujhe dost purane ki jarurat kya hai, saath rehte ho magar saath nahi rehte ho aise rishtey ko nibhane ki jarurat kya hai. Mandeep

©Mandeep Singh Arora #TRUTH OF LIFE INSPIRATION