Nojoto: Largest Storytelling Platform

Wo hamesa k liye udaas nhi chor jaaya krti Bada

Wo  hamesa k liye udaas nhi chor jaaya krti

Badal k garjan ki awaj pehle to ek sihran chor jaati thi,
Uske baad umang ki thandi hawa darr ko shant krne aati thi,
Homework complete krne ka tension v nhi liya krta tha,
Uss wakt barish ki taiyari me mai kapde khol diya krta tha.

Didi ko v mana k hum dono daur k chhat pe jaate the,
Sabse pehle chhat se nikalne wale nailinko band kiya krte the,
Kaale badlon ki our dekh kr use apne chhat pe aane ka nevta,
Hum haath utha kr khule dil se diya krte the.

Kuch aur garjanon k baad wo badal firse dara nhi paate the,
Shayad hume darane k liye wo abb koi aur tareeka apnate the,
Pehli moti boond jbb haath prr utne dur se aakr girti thi,
Apni peeth ko uss thande laave se bachane ki sangarsh shuru hoti thi.

Wo darr to aur v jldi hi chu-mantar ho jaata tha,
Wajandaar boonde jldi hi sarr se dhal kr peeth thanda krr jaati thi,
Fir kahan koi darr teesri dafa darane ki kosish krta,
Bheenge badan se mai khudko mann k sampurn anand k ehsaas me paata tha.

Jbb pure chhat me paani bhar jaaya krta tha,
Barati naach ka keeda v shayad wahi se mere andr upja tha,
Swimming ki acting krna v yaad hai acche se,
Kyuki Barish k baad ghutne me chilne ka daag v aa jaata tha.

Gharwale v utne der chai pakadon ka maza lete rehte the,
Kuch wakt k liye wo v humdono ko lekr nischint ho jaate the,
Barish band hone ke intezaar wo beshabri se kiya krte the,
Kyuki bacchon ko shardi se bachane ka kaam bade hi kiye krte the.

Aahista aahista barish tham jaaya krti thi,
Na to ghadi dekhne ki samajh thiz
Na hi wakt k sath uske band jo jaane ka andaaz,
Shayad isiliye barish band hone k baad chor jaata tha wo mujhe udaas.

Usi garjan k sath barish baar baar aaya krti thi,
Pure bachpan wo mann ko aanandit krr jaaya krtti thi,
Kaas uss wakt mujhme itni samajh aa jaati,
Ki prakriti se pyaar insaano ki terah hamesa k liye udaas nhi chor jaati.

©Amitesh Anand Pakriti se pyaar insaano ki terah hamesa k liye udaas nhi chor jaati