Nojoto: Largest Storytelling Platform

Saat aur sattar ke dashak ke gaano me tha alag and

Saat aur sattar ke dashak ke gaano me tha alag andaz
Kya geet thay kya khupsurat thay saaz
Bante hai gane hazaro magar
Kuch kami si laagti hai sangeet me aaj
Dino chalte rehearsal ka ye tha waqt
Sangeet banane wale bhi hote thay sakt
Kya khub log thay wo bhi 
Kishore,  talat, asha, lata aur rafi
Sangeetkar bhi na thay kuch bhi kam
Salil da,  LP,  madan, SD aur RD burman
Geet to itne meethay,  jaise bat rahi hai kheer
Likhne wale thay Majrooh,  anand bakshi, shakeel,  gulzar aur Saheer
Pura orchestration ka ye daur
Sangeet banate thay tabhi na ki shor
50 saal ho gaye fir bhi ye geet hai taza
Aaj bhi sun lo to aayega wahi maza
Iltiza mere, aaj ke sangeetkar
Kuch to dhang ka music banao yaar
Kuch hi din me kho jaate tumhare geet
Sharm na aati tumhe,  kehte ho isko sangeet
Technology aur achi saaj  ke  lo sahara
Tum bhi banao sangeet pyara music
Saat aur sattar ke dashak ke gaano me tha alag andaz
Kya geet thay kya khupsurat thay saaz
Bante hai gane hazaro magar
Kuch kami si laagti hai sangeet me aaj
Dino chalte rehearsal ka ye tha waqt
Sangeet banane wale bhi hote thay sakt
Kya khub log thay wo bhi 
Kishore,  talat, asha, lata aur rafi
Sangeetkar bhi na thay kuch bhi kam
Salil da,  LP,  madan, SD aur RD burman
Geet to itne meethay,  jaise bat rahi hai kheer
Likhne wale thay Majrooh,  anand bakshi, shakeel,  gulzar aur Saheer
Pura orchestration ka ye daur
Sangeet banate thay tabhi na ki shor
50 saal ho gaye fir bhi ye geet hai taza
Aaj bhi sun lo to aayega wahi maza
Iltiza mere, aaj ke sangeetkar
Kuch to dhang ka music banao yaar
Kuch hi din me kho jaate tumhare geet
Sharm na aati tumhe,  kehte ho isko sangeet
Technology aur achi saaj  ke  lo sahara
Tum bhi banao sangeet pyara music
alokmeshram8732

Alok Meshram

New Creator