Saat aur sattar ke dashak ke gaano me tha alag andaz Kya geet thay kya khupsurat thay saaz Bante hai gane hazaro magar Kuch kami si laagti hai sangeet me aaj Dino chalte rehearsal ka ye tha waqt Sangeet banane wale bhi hote thay sakt Kya khub log thay wo bhi Kishore, talat, asha, lata aur rafi Sangeetkar bhi na thay kuch bhi kam Salil da, LP, madan, SD aur RD burman Geet to itne meethay, jaise bat rahi hai kheer Likhne wale thay Majrooh, anand bakshi, shakeel, gulzar aur Saheer Pura orchestration ka ye daur Sangeet banate thay tabhi na ki shor 50 saal ho gaye fir bhi ye geet hai taza Aaj bhi sun lo to aayega wahi maza Iltiza mere, aaj ke sangeetkar Kuch to dhang ka music banao yaar Kuch hi din me kho jaate tumhare geet Sharm na aati tumhe, kehte ho isko sangeet Technology aur achi saaj ke lo sahara Tum bhi banao sangeet pyara music