Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry Vo jagah aaj bhi khali hai, jahan tum

#OpenPoetry Vo jagah aaj bhi khali hai, jahan tum rehte the...

Tab jo mahal tha vo ab khandar zameen hai...
Tab jo bahaar tha, aaj banjar basti hai...

Par vo jagah aaj bhi khali hai, jahan tum rehte the...

Tab jo ghar tha vo aaj makaan hai...
 jaha jazbaat palte the, vaha nafrat panapti hai.

Vo jagah aaj bhi khali hai, jahan tum rehte the....

Jahan zindagi thi, bas ab shor hai...
Jahan sukoon tha, ab bas khamoshi hai...

Kyu k vo jagah aaj bhi khali hai,
Jahan tum rehte the...

Kisi or ko ab rakhne ka mann nahi karta,
Biyabaan mei kisi ka dil bhi to nahi lagta...

Naa cheekh na pukar, no koi aas tere liye ab yahan...
Mere ashq hain, chand alfaaz or ek pathar sa dil..bas yahi hai.....

Par Vo jagah aaj bhi khali hai, 
Jahan tum rehte the. #OpenPoetry #Vojagahaajbhikhaalihai #TheVoid#HeartFeels

richagupta8047

Richa Gupta

New Creator