Hum likhenge hum baar baar likhenge Tumhari siyasat ki jhooti shaan likhenge Desh ki kya halat kardi gaddi k thekedaar ne Adawat ki bochaar laga di zulmat ki sarkar ne Tum ne jo ye har taraf zulm barpa kar rakha hai Hum uski dard se cheekhti pukar likhenge.. Nrc ho ya npr ya ho Desh ki noat bandi Uski sab sazishen hain jo hain sab gandi Itne Saare log jo uske khilaf aawaz uthaye hain Phir bhi na aqal aayi usko, uski aql ko Hum bekar likhenge Kashmir se lekar kanya kumari tak sab uske khilaf hain Poorab se pashchim tak uske kuch chamche bhi na saaf hain Har shayar ki zubaan par sirf ek hi ab to naara hai Iss Desh ki halat jisne bhi bigadi hai, hum uska ab insaf likhenge Tum laathiyan maro hum par,Phir Bhi hum uske saath nahi hain Tum sare aam aatank machawo, hum phir bhi peeche hate nahi hain Jis Jisko tumne bewajah aziyat pahunchayi hai Un sabke toote jazbaton par, hum inqlab ki aawaz likhenge Hum likhenge hum apni aawaz uthayenge Jab tak jaan hai, Iss Desh ko kabhi tootne na denge Hum likhenge hum sach ki Sachchi shan likhenge Hum andheron me wo roshni ka chirag likhenge Hum likhenge... #yqbhaijan #yqdidi #yqlife #dil_k_alfaz #rejectnrc #lifelessons #rejection #myindia