White Sirf kal hi kal bacha hai yahan, aaj toh jaise khoya hai kahin. Sapne bhi bas kal pe tikey, jo aane se pehle khoye wahin. Har kal naya ek waada kare, par haathon se phir fisal jaaye. Main phir bhi usko dhoondhta rahun, jo kabhi saamne nazar na aaye. Aaj ko jeena seekh loon shayad, warna kal bhi aaj jaisa hoga. Sirf kal hi kal reh jaayega, aur jeene ka haq adhura hoga. ©Naveen Dutt "Kal ke jhamele mein aaj na kho jaaye, kahin jeene ka haq adhura na reh jaaye." #LifePoetry #Shayari #Zindagi #LiveInTheMoment #PoetryLover #EmotionalLines #DeepThoughts #KalAajAurKal #HindiPoetry hindi poetry on life poetry quotes poetry hindi poetry