Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kya Kahenge ©Praveen Storyteller Ek chhoti si b

Kya Kahenge

©Praveen Storyteller
  Ek chhoti si baat share karta hu,
Pichhle saal Oct ke mahine me jab Mera podcast dheere dheere grow kar raha tha, tab mere paas ek brand ka call aata hai, ke Hume aapka podcast achha laga aur hum chahte he ke sath me Mille kuchh achha karte hai, mene kaha to bataiye isme aagey aur kese achha kar sakte he, unhone kaha Collab karte hai aur aapko humare sath 5 episode record karne he, aur unhe upload karna hai apne Account par, iske liye vo pay bhi kar rahe the achha khasa, par unki ek demand thi, ke episode English language me honge, ye unki terms and conditions thi, mene kaha Issey meri audience par asar padega kyuki Hindi audience hai meri, aur mera hath angrezi me tight hai, to unhone kaha hum aapko script denge aap bas padke record kar dena, 
Mera podcast achha chal raha tha to mene 2 din socha, ek episode record karke daal bhi diya, par response thik nahi tha baaki episode ke mukable, tab mene unse baat ki, kaha ke apka brand starting me English me promote kar deta hu, par unhone kaha ke nahi episode English me hi chahiye , baatein yuhi uljhi rahi aur ye deal cancel ho gai. Fir vo episode bhi mene apne account se delete kar diya, 
Aaj iss baat ke kuchh mahino baad usi brand ne dobara approach Kiya hai, aur iss baar unki koi terms and conditions nahi, bas branding karni hai.
Aap log Kuchh kehna chahenge iss baarein ?

Ek chhoti si baat share karta hu, Pichhle saal Oct ke mahine me jab Mera podcast dheere dheere grow kar raha tha, tab mere paas ek brand ka call aata hai, ke Hume aapka podcast achha laga aur hum chahte he ke sath me Mille kuchh achha karte hai, mene kaha to bataiye isme aagey aur kese achha kar sakte he, unhone kaha Collab karte hai aur aapko humare sath 5 episode record karne he, aur unhe upload karna hai apne Account par, iske liye vo pay bhi kar rahe the achha khasa, par unki ek demand thi, ke episode English language me honge, ye unki terms and conditions thi, mene kaha Issey meri audience par asar padega kyuki Hindi audience hai meri, aur mera hath angrezi me tight hai, to unhone kaha hum aapko script denge aap bas padke record kar dena, Mera podcast achha chal raha tha to mene 2 din socha, ek episode record karke daal bhi diya, par response thik nahi tha baaki episode ke mukable, tab mene unse baat ki, kaha ke apka brand starting me English me promote kar deta hu, par unhone kaha ke nahi episode English me hi chahiye , baatein yuhi uljhi rahi aur ye deal cancel ho gai. Fir vo episode bhi mene apne account se delete kar diya, Aaj iss baat ke kuchh mahino baad usi brand ne dobara approach Kiya hai, aur iss baar unki koi terms and conditions nahi, bas branding karni hai. Aap log Kuchh kehna chahenge iss baarein ? #विचार

2,202 Views