Parchhai, aankhon ki gehrai kya dekhte ho ? Use hadd tak pahunchane wale tum hi to the! Ek tohfa tumne diya hai gum ka , Aur shayad yeh waqt bhi mere khilaf hai .. Kyon nahin samajhte kabil tum mujhe apni deed ka ? Ek jawab sa dhundha rahata hun, Mere andar ... Use gehrai mein Jahan tumhari yadon ki deewar chhupi hue hain ! Agar kabhi mud ke piche dekhoge to bataunga ! Shaam ki woh yadeein, Aaj bhi na dhundla hua mere yakin per! Agar kabhi mud ke piche dekhoge to bataunga ! Shaam ki woh yadeein, Aaj bhi na dhundla hua mere yakin per ! .... šš ā¢ ā¢ ā¢ ā¢ #yqbaba