{Dil ki baat Series part 2) --------#Shikayat_mat_kar 👇👇👇 • Apni qismat ki • Aoulad k samne apne badon ki. • Apna zati makan hote huwe makan ki tangi ki. • Bhool kar bhi apne Maa Baap aur ustad ki. • Gair k samne apne dost ki. • Biwi k samne un k ghar walon ki. • Rokhsat karne k baad apne mehman ki. ------------ #Mat_Kar 👇👇👇🏾👇👇 • Irshad khudawandi aur Ahkam Rabbani se kinara kashi. • Sunnat Nabwi s.a.w se Ai’teraz. • Kisi per zulm • Haq baat se inkar. • Bagair Etemad k kisi per bharosa. • Bagair mashware k koi kaam. • Kisi per nokta chini. • Rishtadaron se qata tal’luqi. • Hajat mand rishtedar ko na ummeed. • Peeth k piche kisi ki burai. • Kisi k kehne per sonche samjhe bagair aml. • Jab Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton sonchna Mukhtasar bolna Allah ki Dosti us shaksh k dil me nahi ho sakti jis k dil me Allah ki Makhlooq ki #Mohabbat_aur_khair_khwahi_na_ho. • Sacchi dosti ye hai k Muflisi me dost ki zyada madat ki jayen. • Jis ne Quran pak ko samajh liya goya us ne Duniya o Aakhirat ko palia. • Buland iradon k Alawa howsla bhi zaroori hota hai. • Azeem hai wo dil jis me doosron k liye dard ka Ehsas ho. • Bharosa aik aisa phool hai jo shak ki bo soongte hi murjha jata hai. • Ilm ye hai k agar koi tum per Zulm kare to use muaaf kardo. • Bahtareen kalam wo hai jis se sunne wale ko malal na ho. 👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇 • Khamushi aaib nahi bal k be wajah bolna aaib hai. • (Aalim) ilm se pehchana jata hai. • (Muttaqi) taqwe se pehchana jata hai. • (Momin) Josh iman se pehchana jata hai. • (Insan) Apne kirdar se pehchana jata hai. • (Dost) Waqt padhne per Pehchane jate hain. • (Dushman) Tanhai me pehchana jata hai. • (Sipahi) Maidane kar saaz me pehchana jata hai. • (Tabeeb) apne tajrube aur qabiliyat se pehchana jata hai. • (Dana) apni aqalmandi aur danishwari ki buniyad per pehchana jata hai. • (Jahel) apne jahel ki wajeh se pehchana jata hi. Jazakhallah khair ©Sultan Mirza