dil hai to jazbato ki numaish bhi hogi Mat pucho Aashiq se ki Mohabbat ki haajat kya hogi gar hai ishq khaar se to dard se nazdeeki bhi hogi Mat pucho dil e nadan ki kaifiyat kya hogi Gam hai tumko to Jaam b Jaam badmasti bhi hogi Mat pucho Meykhane se ki Makhmoor ki ayadat kya hogi Hai agar rishte kanch ke to tutne pr awaz bhi hogi Mat pucho rang saaz se ki bikhre rango ki tasveer banane ki mashaqqat kya hogi hajat -need khaar - thorns ayadat - haal puchna badmasti - drunk state makhmoor - drunk rangsaaz - painter Karunjot Kala