#Pehlealfaaz Tum dekho jo idhar , kayant Kareeb sa mehsoos hota hai . Jhuki palkein jab uthi , bezubaan bhi tab kuch rab se kehna chahta lagta hai . Tum sun payi ya nahi ye mujhe maloom tou abhi nahi hai , par sunne ko tere kadam idhar hi khichne lagata hai . Dekho, galtiyan hui hai mujhse , par janta hu maaf karne mai bahut samay lagta hai . Bebas bas tujhe kabhi nahi banana tha , un honthon k peeche ki muskurahat ko tere chehre se kabhi nahi hatana tha . haalat abhi mere bure hai , par tere deedar ka ye dil bhi taras jata tha . Tu mane ya chahe na mane , par teri khamoshi ko behtar mujhe hi bayaan karna aata tha . Tu aaj kahi door jata dikhta hai , mere paas koi wajha nahi iss baat ki , par aaj tere hote hua ye bistar bhi khaali lagta hai . Tu soch jara , mai galat kaha tha , Yakeen teri har baat par mujhe hai bhi tha , Wo kadam bhatak kahe rahe ,bas ye bata ? Tu tha jo sirf mera , wo aaj akele hi hai jane kaha ? Tarashana bhool gaya hai lagta , par meri ghadi mai samay tha bahut pada . Intezaar kar raha hu tera , uss mod ko ghoor kar jara , ye Kashish mai ki shayad tu dikh jata . Par jo door ja chuka , uska maloom kare kare bata ! #Pehlealfaaz #tu_door_ja_chuka Mamta Vanshaj Mishra James Jamie Aman Tiwari Shikha Verma Rakesh Kumar Himanshu