Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kabhi kabhi puchhe hai ye dil mera, Kis tarah ye z

Kabhi kabhi puchhe hai ye dil mera,
Kis tarah ye zindagi basar hogi;
Tamaam umra bhatkenge kya gham ki galiyon me;
Kya hume khushi na mayassar hogi.
Kya koi aisha shakhs ab jahaan me nahi,
Jo hume dil-o-jaan se pyaar kare;
Humsafar ban har ek mod par ho saath mere,
Mere baatoin mere waadoin par aitbaar kare.
Khair chah aur haqiqat me jo fark hai wo,
Ye zindagi har roz ehassah kara jaati hai;
Guzar jaata hai din yaaroin ki mehfilo me magar,
Shaam ko tanhaai bhi saath chhura jaati hai.

©Prabhakar Kumar #Shayari #HInidQuotes #hindiurdushayri #lovehsyari #lifeshayari 

#Thoughts