White Mumkin ho chand roj paresha rahi ho tum, ye bhi hua ho waqt pe sooraj uga na ho, imli me koi achchha katara paka na ho, chhat ki khuli hawaon me anchal uda na ho, do teen din rajayee me sardi ruki na ho, kamre ki raat pankh pasare udi na ho, hasne ki bat pe bamushkil hansi ho tum, kuch din khato me aansu bahe shor gul huwa, tum jahar peeke soyee mai injan se kat gaya, phir yun hua ki dhoop khili, abra chhat gaya, maine watan se koso pare ghar basa liya, tumne pados me naya ham safar bana liya. ©Neeraj chitransh #karwachouth