Nojoto: Largest Storytelling Platform

banjar sapno ki dharti chehre ki in jhuriyo ke pi

banjar sapno ki dharti

chehre ki in jhuriyo ke pichhe 
kai hasin dastan hai, 
banjar sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai! 

bite vakt ka karwa saath chlta hai, 
dil me kahi ek chhota sa dard palta hai! 
khwaisho ka bojh liye zindagi me
ek -ek kar har arman jalta hai, 
bojhil sa lagta hai jivan 
har pal sabr ka imtihaan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai! 
kbhi jo pariwaar ke baag ka Mali tha 
aaj uski jholi khali hai, 
n jane kaisi sabhyta hai
anpdh baap ab lagta gaali hai, 
ek vakt ki roti dena bhi 
ab to smjhte ehsan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai! 

dawalt Ke nhi hai pyar ke bhukhe 
har pal apno ka rasta dekhe,
khali pat rahkar the pale 
aaj wahi dete hai dhokhe, 
khun ka rista tha jinse
wo aaj bane anjaan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai!
phikr n kar sab dhal jaayega 
tera bhi aisa kal aayega, 
yaad karega bite lamhe 
kosega khud ko pchtayega, 
us vakt lagega tujhko ki
isse behatar shamshaan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai!

©Neetu pita par kavita 
banjar hai sapno ki dharti

#banjar
banjar sapno ki dharti

chehre ki in jhuriyo ke pichhe 
kai hasin dastan hai, 
banjar sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai! 

bite vakt ka karwa saath chlta hai, 
dil me kahi ek chhota sa dard palta hai! 
khwaisho ka bojh liye zindagi me
ek -ek kar har arman jalta hai, 
bojhil sa lagta hai jivan 
har pal sabr ka imtihaan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai! 
kbhi jo pariwaar ke baag ka Mali tha 
aaj uski jholi khali hai, 
n jane kaisi sabhyta hai
anpdh baap ab lagta gaali hai, 
ek vakt ki roti dena bhi 
ab to smjhte ehsan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai! 

dawalt Ke nhi hai pyar ke bhukhe 
har pal apno ka rasta dekhe,
khali pat rahkar the pale 
aaj wahi dete hai dhokhe, 
khun ka rista tha jinse
wo aaj bane anjaan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai!
phikr n kar sab dhal jaayega 
tera bhi aisa kal aayega, 
yaad karega bite lamhe 
kosega khud ko pchtayega, 
us vakt lagega tujhko ki
isse behatar shamshaan hai, 
banjar hai sapno ki dharti 
ummido ka sukha aasman hai!

©Neetu pita par kavita 
banjar hai sapno ki dharti

#banjar
nehapandey9870

Neetu

New Creator