MOUT Suna hai zindegi se bhi jyada khoobsurat mout hai Shayad isiliye jhoot sundar aur sach kadwa hota hai... Nind raat se chura kar insaan band ankhon main khwab bade shiddhat se sajata hai Haar manjoor nehi hai shayad isiliye zindegi ke maidan main insaan mout ke jung har roz akela ladta hai... Zara ankhein band karke toh dekho yaroon Mout ne mohlat tak bhi nehi dega Uss din shikayat zindegi se nehi sirf mout se hoga... Mujhe nafrat karne wale bhi mere kafan hata ke mere laash se lipat kar anshu bahayenge Kabhi kaifiyat na puchne wale bhi apne kandhe pe mere mayat uthayenge... Zindegi main gile shikwe kise karu,Yeh khuda mere apno ne hi mujhe kabra pe dafana denge Jab mere rooh mere jism se hoga juda... Mousam toh khamkha badnam hai yaaron Yahan toh log mousam se bhi tej badalte hai Chain se jeene na dene wale bhi Janaze pe rooh ki chain ke liye dua mangte hai... Insaan ko girgit kahun ya kuch aur Yeh toh use bhi jyada rang lekar ghoomta hai Chehre pe muskan aur pith piche khanjar chupata hai.... Suna hai zindegi se bhi jyada khoobsurat mout hai Shayad isiliye jhoot sundar aur sach kadwa hota hai... ©Rajeswari Bal MOUT #Connection #Rajeswaribal