Nojoto: Largest Storytelling Platform

Pakda jo tera hath to chalna sikha diya Chahat ki

Pakda jo tera hath to chalna sikha diya 
Chahat ki dhokroN me sambhalna sikha diya 

Mujhko duaeN dijiye ae meri janeman
Aaina dekh tumhko saNwarna sikha diya 

Tumko sabhi sikha diye adaab e aarzu
Kaise kareN kisi ki tamanna sikha diya 

Meri bhi zaat ka zara ehsan maniye
Jo tumko mohabbat me machalna sikha diya 

Chahat ki siyaH raat me jo kho na jaao tum
Shamma ki tarha tumko bhi jalna sikha diya 

Uska tumhari zaat pe ehsan hai Firoz 
Diniya ki tarha rang badlna sikha diya

©#DhundleNaksh #Adnanasif #DhundleNaksh #Adnanasif