Tark"e"ulfat ka sila pa bhi liya hai maine Ab to aaja ke tujhe yaad kiya hai maine Aa saki teri judai na kabhi raas mujhe Tujh se bichra to hone laga ye ahsaas mujhe Apne hatho se koi zeher piya hai maine Ab to aaja ke tujhe yaad kiya hai maine Gungunati hai wafa ruh main rimjhim ki tarah Samne apne khara hun kisi mujrim ki tarah Aaj to sharm se muh dhanp liya hai maine Ab to aaja ke tujhe yaad kiya hai maine Jo bhi shikwa hai bhulana hi padega tujh ko Ek na ek roz to aana hi padega tujh ko Dil ka darwaza khula chor diya hai Maine Ab to aaja ke tujhe yaad kiya hai maine. tujhe yaad kiya hai maine