Wo tajmahal hi hai sayad Jise sirf pyar ke liye bnaya gaya hai Jise dekh sakte hain Jise Chhu kar mehsus kar sakte hain Lekin apna bana nahi sakte... Wo chand hi hai sayad Jise sirf khubsurat dikhane ke liye bnaya gaya hai Jiski shitalta mein kho sakte hain Jiski chandani se baatein kar sakte hain Lekin apna bana nahi sakte... Wo ganga hi hai sayad Jise sirf pavitrata ke liye banaya gya hai Jiski dhara mein tan-man bhigoya ja sakta hai Jiski shitalta mehsus kar sakte hain Lekin apna bana nahi sakte... #tajmahal#chand#ganga#love#love_poetry