Nojoto: Largest Storytelling Platform

Woh samundar sookh kar kua sa hogya, Paani jisme

Woh samundar sookh kar 
kua sa hogya, 
Paani jisme be-misaal tha
Na pucho kitne rang they Bikhre,
dikhta kitna Kamaal tha
Na jane kiski nazar lagi, 
Kya kuch hua bawaal tha 
Shayad Uske dil me tha kuch , 
Mere bhi mann me sawaal tha 
Na bola jaye na pucha jaye, 
Tab Haal bada be-haal tha 
Chalte chalte kab mud gaya voh, 
Na keh pane ka mujhe mallal tha
Sochti hu voh hi kuch keh jata, 
Jane se pehle 
Ke uska mere sath chalne ka khayaal tha, 
Woh samundar sookh kar kua sa hogya 
Paani jisme be-misaal tha...

©Pooja Chakravarti #Samundar #paani #Kua #bemisaal
Woh samundar sookh kar 
kua sa hogya, 
Paani jisme be-misaal tha
Na pucho kitne rang they Bikhre,
dikhta kitna Kamaal tha
Na jane kiski nazar lagi, 
Kya kuch hua bawaal tha 
Shayad Uske dil me tha kuch , 
Mere bhi mann me sawaal tha 
Na bola jaye na pucha jaye, 
Tab Haal bada be-haal tha 
Chalte chalte kab mud gaya voh, 
Na keh pane ka mujhe mallal tha
Sochti hu voh hi kuch keh jata, 
Jane se pehle 
Ke uska mere sath chalne ka khayaal tha, 
Woh samundar sookh kar kua sa hogya 
Paani jisme be-misaal tha...

©Pooja Chakravarti #Samundar #paani #Kua #bemisaal