Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kaash ek behan meri bhi hoti...jo mere kandhe pr s

Kaash ek behan meri bhi hoti...jo mere kandhe pr sar rakh kr soti,.......
Kaash ek behan meri bhi hoti ..jo mere kandhe pr sar rakh kr soti.....
Agar hoti woh choti toh use khilata,uske saath khelta,uske nanhe kadmo ko sahar deta...
Use koi lalach dekr chup karata jab bhi woh roti....
Kaash...

Agar hoti woh badi toh unhen chidhata,rulata
Jab woh mujh se tang aa jaati toh unke gaal kheechkr unhen manata....
Kisi badi galati pr pyar se samjhakar humari galatfehemiya woh door karti....
Kaash....

Maa kehti h k aaj agar tumhare jitni badi meri beti hoti ,toh mjhe bahut sahara hota
Sach hi baat h, agar meri behn hoti toh mai bhi ussi behan ka bhaiya pyara,raajdulara hota
Woh meri hi hathkheliyo par hasti..meri hi shararaton par roti...
Kaash......

Jab hoti woh ghar se vida toh mai bhi unke aansu pochta,unka sahara banta,unke sisakte gale ko paani pilata...
Itni samjhaish k baad bhi woh bhagkar aakar mjhse lipat kar roti....
Kaash.....

Kaun kahta hai betiyan maa baap par bojh hoti hai betiyan hi toh h jinki mjh jese bhaiyon ko khoj hoti h
Aree! Samaj k rakshakon,tumhe toh apne karmon ki peedha tab hoti, jab tumhari apni behnn pr yah peedha aai hoti
Jab betiyon ko bina duniya dikhae unki hatya na karai gyi hoti
Jab jaati ar umar ko taak par rakh kr unpr apni gandi nazar na uthai hoti....

Kaash ..... #kaashekbehenmeribhihoti

vikrant4310

Vikrant

New Creator