Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hijr karte ya koi wasl guzara karte hum bahar haa

Hijr karte ya koi wasl guzara karte 
hum bahar haal basar khwab tumhara karte

Aik aisi bhai ghari ishq mein aai thi k hum 
khak  ko hath lagaate to sitara karte

Ab to mil jaao humein tum ki tunhaari khatir 
itni door aa gae duniya se kinara karte

mehw-e-araish-e-rukh hai wo qayamat sare-e-baam 
ankh ager aaina hoti ho nazara karte

Aik chehre mein to mumkin nahi itne chehre 
kis se karte jo koi ishq dubara karte

jab hai ye khana -e- dil apki khalwat ke liye 
phir koi aae yahan kaise gawara karte

kon rakhta andhere mein diya aankh mein khwab 
Teri jaanib hi tere log ishara karte

zarf-e-aina  kahan aur tera husn kahan 
hum tere chehre se aania sanwara karte

©Mohd Arsh malik poet ubaidullah Aleem

#youandme