Nojoto: Largest Storytelling Platform

Kyun tujhe khauf hain apne inn jazbaato se?? Kyun

Kyun tujhe khauf hain apne inn jazbaato se??
Kyun tu kabhi karta nahi inhe befikr hokar bayaan?
Kyun jab baat aati hain zakhmo ki, tu oddh leta hain chuppi?
Kyun tu muh mod leta hain jab sawal ho unn ehsaaso ka??
Aisa kya hain tere andar, jisse tu khud hi hain khafa?
Aisa kya hain tere dil mein, jisse tu mehsoos nahi karna chahta?
Kyun tu kisi aur ke gunaaho ki saza bewajah khud ko deta hain?
Kyun tu abhi bhi ussi se juda hua hain, jo kab se tujhse juda ho chuka hain?
Kyun abhi tak tu hain ghayal, rehta hain gumo ki giraft mein??
Mana ki teri mohabbat, teri wafa ki usne kadr na ki,
lekin tu kyun khud ke dil ke liye ho gaya hain bekadar?
Kab tak rahega aise, bikhra hua, bata hua kal aur aaj ke beech mein?
Jab tak tu apne ghaav ko apnayega nahi, phir kaise karega inka ilaaj?
Mana ki voh tera kabhi ho naa saka, lekin ab tu khud toh apna ban!
Mana ki dil tuta hain tera, lekin phir jud bhi toh sakta hain!
Mana ki vafa naa ki usne, lekin apne aap se tu kyun bewafa hain?
Kab tak pehne rakhega tu yeh jhutthi khushi ka mukhota?
Kyun tu tod nahi deta nasoor dard ki inn bediyo ko??
Kyun hamesha tujhe lagta hain darr dil ki gehraiyo se??
Kya pata voh rab kare madad teri, mile tujhe tera humsafar,
lekin pehle apne iss adhure safar ko toh mukammal kar,
taki phir se tu jeeyein, kuch apne liye, kuch kisi aur ke liye!
Khatam karde iss silsile ko ab, jaha tera kal hain,
koshish toh kar, shayad aanewala kal behtar mile,
jaha teri jaan kisi ki rooh mein basein!