Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hazaron dua'aon mein jab meri.. ek dua kabool hui,

Tumhare aane se jivan mein.. khushiyon ki ek leher uthi,
Jab thaama tumko baahon mein.. tab Mamta ka ehsaas hua...
Mausi, bua, Nana-Nani, dadi jese.. har rishte ko naam mila,
Mama'aon ko bhi nanha sa.. pyaara sa ek dost mila,

chhote hote hue bhi.. har baat ko Tum samajhte ho,
Lekin kabhi kabhi masumiyat bhara chehra banakar.. apni har baat manwa lete ho
Papa k tum sabse pyaare.. unke natkhat kanha ho,
Apni issi masumiyat se hi.. tum sabki  aankh ke taare ho,

Sangharsh se tum kabhi ghabrana nahi...
chehre par tumhare muskaan rahe,
Chunautee se tum kabhi darna nahi...
aashish mera tumhare saath rahe,
Koshish karte karte nirash tum hona nahi...
ye sikh hamesha tumhe yaad rahe,
Dua hai meri rab se...
tumhara har kadam sachai ki raah par chalta rahe. Happy##birthday ####son ###love ####and###blessings ####from####mother

rituyadav1339

Ritu Yadav

New Creator