Nojoto: Largest Storytelling Platform

#dil_ka_rishta Jab bhi koi muskhil mujhe satati h

#dil_ka_rishta

Jab bhi koi muskhil mujhe satati hai, 
Aksar mujhe ek hi shaks yaad aata hai,
O jo hamesha meri raksha karta tha,
O bhai aj bhai yaad aata hai...

Jo hamesha rehta tha meri parchai bankar,
O aks hamesha chand taaron me nazar aata hai,
Jo kho gaya waqt k saath saath kahin,
O saaya aj bhi sapno me satata hai...

Chalo aj rakhsha bandhan par phir se behen-bhai k guzre waqt ko yaad karte hain,
Khatti meethi si ladai ho, 
Ya umar bhar ki shararatein,
Zindagi k us band kitaab ko aj phirse yaad karte hain...

Hamesha mujhse home work karwaaya karta tha,
Pencil ki nib se lekar pen tootne tak mujhe danta karta tha,
Chota sa bhai najane itna bada kab hogaya,
In ujalon se jahan me adheron sa chand ban gaya...

School se lekar ghar tak, 
Mere saath aaya karta hai,
daal na de mujhpar buri nazar koi,
Ye baat ka bhi poora khayal rakhta hai,
Ab na toh danta hai, naa hi school saath aata hai,
Naa kahani naa koi kisse sunata hai,
Waqt ki iss bheed me kahin kho gaya,
O bacchon se khayal rakhne waala bhai,
Ab un Chand taaron k sheher me kho gaya hai...

©ayesha Siddique #rishtadilka #Rakshabandhanspecial #Nojoto #nojotohindi #nojotoenglish #nojotoshayari #nojotowriters #instagramwriters #brothersisterlove 

#RakshaBandhan2021  Farhan Shaikh ✔️