Alone Ek Tarfa Jab din ke ujaale me baat na bani Toh usne raat ka Sahara liya, Jo jakhmon ko khurede andar tak Usne har us bat ka Sahara liya, Humne jab-jab jatayi mohobatt apni Usne har bar aashiqui se nakara kiya, Hum nibhate rahe mohobatt apni har dafa Usne har bar khudko kinara kiya, Hume har jagah har haq se be-dakhal kar Usne haseen yaadon ka bhi batwara kiya, Humne chaand kiya zindagi me usko Usne hume lakho ki bheed ka sitara kiya, Hum dete rhe gulaab zindagi bhar usko Usne har ek kanta uska humara kiya, Na jane kaha se lata itni nafrat wo shaksh Humne toh jab bhi dekha pyar se ishaara kiya... --Pooja Chakravarti #alone #ektarfa #Love #Deep #Romantic #Pyar #shaksh #chaand #ishara #ishq