White Khud se narazgi aur bikharate hue ham, Dil ke shikve mein uljhe hue ham. Shor to duniya ka hai chaaro taraf, Par andar ke sukoon se rooth gaye ham. Aaina dekhein toh parchaayi udasi laay, Hoth muskaan ko dhoonde, par aansoon chhup jaay. Kya dard ka ye silsila kabhi rukega? Ya khud se ladte ladte sab khatam ho jayega? Raahen to hain, par manzil gum si lagti, Hawa bhi saathi hai, par dhun madhyam si lagti. Shayad ek din khud ko manaa lenge, Iss narazgi ke dariya ko paar kar jaayenge. ©Naveen Dutt "Khud se narazgi aur bikharate hue ham...Jazbaat ka ek silsila, jo shayad sirf dil samajh sakta hai. 🌙Self-reflection, emotions, poetry, narazgi, broken, healing, sukoon, inner thoughts, feelings Har bechaini ke baad sukoon bhi toh milta hai, hai na?" #EmotionalJourney #InnerPeace #HindiPoetry #Feelings #SelfReflection #BrokenYetStrong #SoulfulThoughts #PoetryLover #SilentSorrows