Maa ne kahaa tha mujhe, aaj duaa kubool hoti hai, Saaf kr deta hai rab, agar daaman meh dhool hoti hai. Sirf maafi maangne ka hunar, bekas meh honi chahiye, Phir kismat chamakdaar, raahon meh phool hoti hai. माँ ने कहा था मुझे, आज दुआ कुबूल होती है, साफ कर देता है रब, अगर दामन में धूल होती है, सिर्फ माफी माँगने का हुनर, बेकस में होनी चाहिए, फिर किस्मत चमकदार, राहों में फूल होती है। Jab ek bachcha maa k andar se nikalta hai toh usme gandagi lagi hoti hai, use dekhkr maa ghinn nhi krti balki use saaf krke apne seene se laga leti hai. Hum tamaam musalmaan bhi usi tarah burayi k gandgi se lipte huye hain, aur rab tu hamse ghinn na kr, tu bhi us maa k tarah apne fazl-o-karam se hamein saaf krke bakhs de. Suna hai tu sattr(70) maaon k barabr pyaar krta hai apne bandon se, aaj hum apne gunahon se maafi maangte hain, hamein maaf kr de aye rabbulaalamin. Is waqt tu saath chodh diya toh hum kahaan jaayenge, kiska darwaaza khat khatayenge...Tu hi paalne waala hai, tu hi maarne waala hai.... Bacha le aye rab... Hamare tamaam nek iraadon ko qubool kr aur duniya meh jo keher machi hai CORONA ki usse pure jahaan ki hifazat kr, marizon ki sifaa ata farma... May allah forgive all our sins and bless us with kindness in this special night of SHAB-E-BARAAT. Ameen 😊