Chandrama ka aakash chandni se zaroor nahaya hoga.ratri ka ghoonghat uthte hi kshitij par lalima ne sadiyoan sang aankh michauli kheli hogi. ya phir aawara hawa ke jhonkoan ne phooloan ka badan chooma hoga. to phir hawa jab phool ka badan choomti hai to khushboo janm leti hai. khushboo jab insaan ke paikar mein dhalti hai to husn paida hota hai. husn bikhre to chandni kahlaye..simte to Malika e Husn ke khitaab se nawaza jaaye!! Shinawar ● Malika e Husn Madhu Bala