Nojoto: Largest Storytelling Platform

khaane ke naam pe apne gam ko kha jaata hun, pyaas

khaane ke naam pe apne gam ko kha jaata hun,
pyaas lagti hai toh in aansuo ko pi jaata hun,
neend mei kayi rangeen kywaab bun jaata hun,
tu sapno mei toh aayegi yahi soch ghanto so jaata hun, 

wo lamhe yaad karke aaj bhi muskura jaata hun,
thoda pagal pehle se tha, thoda tera naam sunne se ho jaata hun,
saath nibhaane wale log hai mere saath,
par tanhai mei tera saath na paake, ro jaata hun,

jaanta hun, ab sab pehle sa nahi ho sakta,
par tab bhi apne man ko behla jaata hun,
 
tujhe bhulna aasan nahi,
kyoki har waqt teri yaadon mei khoya rahta hun,
 ab toh teri awaaz sunne ko bhi taras jaata hun! Tujhe Bhulna Aasan nh!

prakashroy7108

Prakash Roy

New Creator