Nojoto: Largest Storytelling Platform

Hai Azad Watan Hamara Huqooq-E-Hind samjh le tu, S

Hai Azad Watan Hamara Huqooq-E-Hind samjh le tu,
Salam hai un sheedon par khud ko wahaan par Dhal kar ab dekh le tu,
Pahchan Apne HAQUE ko Aye mere mulk ke Watan Parstiyon,
Mulk-E-Aazadi ke bad Bhi kin bandishon me phansa hai tu....

Mili thi Aasman bhi Zameen Se Aakar Jab Watn-E-Inqalab Aaya tha,
Lashein Beech chuki thi Baghon me un baghon ko Dekh aa Abbhi tu,
Khayee thi goliyaan shaheedon ne apne Naslo-Wa-Qaum ke khatir,
Aye Shaheedon ki Naslein Pahchan le khud ko kin bandishon me phansa hai tu....
Kuch Khawhishein Muqtadi Tumhari Aise Hai Jo Hind Ko Barbad Karti Hai,
Jati Wa Dharam Ke Nam Par Larwane Ki sazish hai ab bhi use Samajh le tu,
Har Qadam Ko Utha tu Soch Kar Dagmaga Na Jaye Ye uthte Qadam ye Tere,
Muntakhab hai Karna jabbhi Hukumat ko to Aazad-E-Hind Ka Matlab Samajh le tu....
Qurbaan Hone Ko Tainat Khare hai jo un Jawano Ko lakho Salam Hai,
Unki Jaan Ke Khatir Hi Sahi Dosti Ka Hath Khud Hi Badha Le Tu,
 Hifazat-E-Mulk  ki zimmedari ab to Awamo Ke Banisbat hai Aye BuKhSh
Abbhi sambhal ja na Jane Kin Bandishon me phansa Hai tu
(BuKhSh)