Nojoto: Largest Storytelling Platform

Mera guna kya? Beti banakar Janam lu, Ma baab ki

Mera guna kya?

Beti banakar Janam lu,
Ma baab ki ladli hu,

Khub lad dular se pale
Mujhe,
Fir padha likha kar,
kabil banaye,

Sab ke chere par ronak aaye,
Sab ki mamta mujh par chaaye,

Badi hokar sayani banu,
Fir kisi ki dulhan banu,

Aachi beti,bahu, kaki, chachi
Banu,
Nanand ki bhi khub seva Karu,

Sal  lo  saal bhi uff na karu,
Ghar me sabki izzat karu,

Par phir bhi meri , kokh na 
Bare to mein kya karu,

Treatment, ayurvedic upchar
Sab kuch Karu par fir bhi kuch
Na uska result ho to ussme mein kya karu,

Yaadi maa Banna sabke nasib,
Mein likha hota hai to fir mere nasib mein kyu nahi,

Kyu mein duniya ke taane sunu,

Kya maa bankar hi mahan 
Bante hai,


Aagar sab ke nasib mein 
Maa baan.  Na nahi likha to
Vo yashoda maiya to ban sakti 
Hai na.


Kya aurat sirf bacche ko janam
De aur ghar hi smabhale,
Iss me uski galti kyaa?


Aakhir kyu aurat ko ek machine hi maana jaata

©Jeetal Shah
  #whyme