Nojoto: Largest Storytelling Platform

#OpenPoetry Barbadiyon se meri koi aashna nahi, R

#OpenPoetry Barbadiyon se meri koi aashna nahi, 
Razo'n ki apne mai hi faqat razdar hun. 
Zahir meri ye zindegani khushgawar hai, 
Batin bhi koi dekh lo, mai zar zar hun. 
Us jalwagar ke samne meri hai kya bisaat, 
Wo Noor-e-Qaynat, main Musht-e-gubar hun. 
Kaise karun jireh jab mumkin nahin rehai, 
Is bar saza-e-Ishq me giraftar hun. #OpenPoetry