Nojoto: Largest Storytelling Platform

Aalishan gadgade bistar par, Shan se jab hum so ra

Aalishan gadgade bistar par,
Shan se jab hum so rahe the,
Wahi ghar se thodi doori par 
kuch log the Jo sirf ro rahe the,
Khoya tha unhone apno ko,
Sath hi ghar bhi ujad chuka tha,
Kamane bhi jate to kaha jate,
Karobar bhi jal kar simat chuka tha,
Na pese se na sahanubhuti se,
Unka khoya wapis aayega,
Dekha hai apni ankho se marte jisko,
Wo dar man se na kbhi jayega,
Shikwe bhi nahi unko ab kisi aur se,
Apne gye ye Ansu bhi sath chhod jayega..
Kanp uthti hai rooh us maa ki
Chikh kar wo bilakh jati hai,
Yaad aata hai wo maut ka manzar,
Bete ki Soorat pehchane bhi nhi jati hai,
Hath jodkar bol rahi thi wo sun lo ye sare,
Ab to sb chale, kya hamare kya tmhare,
Suno ab lakar sbko zehar hi de do,
To Uska bhi kuch asar na hoga,
Pehle se sabke jo bhara hai seene me 
Zehar bhi usse kam zehreela hoga.. #delhi #delhiriots #india #hindumuslim #yqbaba #yqdidi #yqbhaijan #yqquotes
Aalishan gadgade bistar par,
Shan se jab hum so rahe the,
Wahi ghar se thodi doori par 
kuch log the Jo sirf ro rahe the,
Khoya tha unhone apno ko,
Sath hi ghar bhi ujad chuka tha,
Kamane bhi jate to kaha jate,
Karobar bhi jal kar simat chuka tha,
Na pese se na sahanubhuti se,
Unka khoya wapis aayega,
Dekha hai apni ankho se marte jisko,
Wo dar man se na kbhi jayega,
Shikwe bhi nahi unko ab kisi aur se,
Apne gye ye Ansu bhi sath chhod jayega..
Kanp uthti hai rooh us maa ki
Chikh kar wo bilakh jati hai,
Yaad aata hai wo maut ka manzar,
Bete ki Soorat pehchane bhi nhi jati hai,
Hath jodkar bol rahi thi wo sun lo ye sare,
Ab to sb chale, kya hamare kya tmhare,
Suno ab lakar sbko zehar hi de do,
To Uska bhi kuch asar na hoga,
Pehle se sabke jo bhara hai seene me 
Zehar bhi usse kam zehreela hoga.. #delhi #delhiriots #india #hindumuslim #yqbaba #yqdidi #yqbhaijan #yqquotes
arshansari6017

Arsh Ansari

New Creator