Sapno ki duniya bhi kitne ajeeb hote hai na wo duniya iss duniya se jaida rangeen hote hai na jab kaali ghani raaton me ankhein band hoti hai tab man iss log se dur kahi aur khoye hote hai waha iss zalim duniya ki tarah koi bandise nhi hoti maan ko kahi v urani ki aazadi hoti hai waha sb mumkin hota hai,har khawahiso ki farmaish hoti hai jo sapne khuli ankhon se kbhi dil ne sanjoye hote hai jo sapne bina aahat ke kbhi tute kbhi tukraye hote hai usse sapno ke duniya ne aapnaye hote hai khawahishon ki sari gatiriyon ko khola jata hai unhe ek ek kar sanjoya jata hai kuch potiliyon me kisi ko na paane ki kasak hoti hai Toh kisi me kisi ko hmesha ke liye khone ka gam par sapne ki duniya me inn sare gamo ko kam kiya jata hai jo chor ke chale gaye hai dharti se hmesha ke liye unse bhi mulakaat karne ka baat karne ka mauka milta hai maan toh chahta hai ki uss duniya se kbhi wapas aaye hi na par afsooh ankhein khulte hi karwa sach aata hai ki woh bss ek sapna tha unki umar choti hi sahi,par sapno ki duniya haseen hoti hai na wo duniya iss duniya se bhi jaida rangeen hoti hai na.. #twilight #sapnokiduniya