Usse mujhse muhabbat nahi thi magar kuch gehra lagav tha jo usse hamesha mujhse baat karne par aamaada karta. Mai bhi wahi qayfiyat me tha jisme wo mulawwis thi. Wo subah uthti or mere liye betaab ho jaati or mai uske liye.. Pata tha ke dono ke raaste juda hai magar fir bhi, Saath nibhaaye jaa rahe the Gum bhulaaye jaa rahe the Baat badaaye jaa rahe the. Yaqeen tha to sirf is baat pe ke Khuda ne milaya hai or wohi aage milayega ya fir Juda kardega.. Is baat par bhi dono ka ittefaaq tha magar fir bhi.. Na to is rishte ka koi naam tha, na wajuud, na raasta, na manzil.. Shayd issi ko Dosti kehte hai.. Wo Haqeeqat me thi magar nahi thi... Random thoughts Mulawwis= mila hua, involved Aamaada=kuch majbuur, inclined Ittefaaq= agreement Wajuud=identity, pehchan Qaifiyat=situation, haal