बेटी mai beti hu chahti thi aapka sahara banu chahti thi aapke ankho ka tara banu par papa ab sab kuch hi badal gya ab mai kisi ki bahu ban gyi kuch naye rishto me bandh gyi mere kuchh khvab the jo ab adhure rah jayenge par papa i promise you mai beti hu aapki laj hu aapki sir ki taj hu mujhe kisi ne chaha to kisi ne nakara kisi ne pyar diya kisi ne dutkara kisi ne apnaya to kisi se fatkara par papa mai aapki beti hu kabhi sanskar nhi bhulungi mai fudakti chidiya thi jo ab dusre ghar ki laj hai mai ghumti bacchi thi jo ab sasural ki sartaj hai par papa han aaj bhi aapki beti hu mai beti hu