Nojoto: Largest Storytelling Platform

Pedd,poodhe,phool aur patiya, ye sab mann ko bahut

Pedd,poodhe,phool aur patiya,
ye sab mann ko bahut lubhate hai,
kaddi dhup m ye hume,
apni chhav se sehlaate hai.

Baarish ki vo boonde,
kuch alag hi geet sunati hai,
Mitti ki vo bhinni khushboo,
dil ko khush kar jati hai.

Ye taalab,ye kalkal behti nadiya,
ye sab toh hai dharti ki shaan,
Inke paani se hi toh hai aati,
kissan ki phaslo m jaan.

Vo phoolo ki khushboo se bhiga maidan,
Vo pakshiyo ki khule aasman m udaan,
Bss iss prithvi pe hi hai ye nazare,
Aur kahi nhi milega itna khubsurat Jahan.

-Bharti Golchha #poetry #nature
Pedd,poodhe,phool aur patiya,
ye sab mann ko bahut lubhate hai,
kaddi dhup m ye hume,
apni chhav se sehlaate hai.

Baarish ki vo boonde,
kuch alag hi geet sunati hai,
Mitti ki vo bhinni khushboo,
dil ko khush kar jati hai.

Ye taalab,ye kalkal behti nadiya,
ye sab toh hai dharti ki shaan,
Inke paani se hi toh hai aati,
kissan ki phaslo m jaan.

Vo phoolo ki khushboo se bhiga maidan,
Vo pakshiyo ki khule aasman m udaan,
Bss iss prithvi pe hi hai ye nazare,
Aur kahi nhi milega itna khubsurat Jahan.

-Bharti Golchha #poetry #nature