Nojoto: Largest Storytelling Platform

Jahan gaadiyon ka shor-o-gul tha bus, Ab chidiyon

Jahan gaadiyon ka shor-o-gul tha bus, 
Ab chidiyon ki chehchahat hai ! 

Jahan pollution ka dhuan tha har or bus, 
Ab neele aasman par chand ki muskurahat hai ! 

Jahan tez raftar se waqt se aage daud rahe the bus, 
Ab ghadi mein har guzarte pal ki bhi aahat hai ! 

Jahan Netflix aur chill hua karta tha bus, 
Ab chal rahi har jagah ramayan aur mahabharat hai ! 

Thak gye bhaag bhaag ke, ab aur nahi hota humse bus, 
Ye kehne waalon ko bhi,aur jeene ki chahat hai ! 

Sochne lago,toh sab accha sa hi toh hua hai bus, 
Phir jaane kyun mann mein ek bechaini hai,
Ek ghabrahat hai? 

#HopingForPositive #CoronaOutbreak