Sundar komal sapnoN ki baaraat guzar gayi jaanaaN Dhup aNkhon tak aa pahuNchi hai raat guzar gayi jaanaaN Bhor samay tak jis ne hamaiN baaham uljhaaye rakkha Woh albeli resham jaisi baat guzar gayi jaanaaN Sadaa ki dekhi raat hamaiN is baar mili to chupke se Khaali hath pe rakh k kya saughat guzar gayi jaanaaN Kis koNpal ki aas meN ab tak waise hi sar-sabz ho tum Ab to dhup ka mausam hai barsaat guzar gayi jaanaaN Log na jane kin raatoN ki muraadeN maaNga karte haiN Apni raat to woh jo tere saath guzar gayi jaanaaN #Secret