Pyaar maine parindo se pyaar kiya toh, woh udh gaye maine sooraj se pyaar kiya toh, woh doob gaya maine chaand se pyaar kiya toh, woh baadlon me chhup gaya maine paani se pyaar kiya toh, woh beh gaya maine barf se pyaar kiya toh, woh pighal gayi maine baarish se pyaar kiya toh, woh baras ke thum gayi maine aag se pyaar kiya toh, woh bujh gayi maine phoolon se pyaar kiya toh, woh murjha gaye maine Kaanto se pyaar kiya toh, woh mere jism ko chub gaye maine jaanwaron se pyaar kiya toh, woh meri zubaan na samajh sake aur jab maine insaan’on se pyaar kiya toh, woh bewafa nikle pyaar