Nojoto: Largest Storytelling Platform

Waise to tum mujhe yu beech safar mein tanha chhor

Waise to tum mujhe yu beech safar mein
tanha chhor kar chale gaye thhey

Par agar mai kahu ki tumhari khushboo
aaj bhi meri saanson mein basti hai
Toh maan logey kya tum

Agar mai kahu ki tumhari un pyari baaton ko yaad kar jo bhaley hi jhuth hua karti thi,
aaj bhi mere hothon par ek meethi si muskaan a jaati hai
Toh maan logey kya tum

Agar mai kahu ki mera dil laakh todne k baad bhi
Aaj bhi ye tumhare liye hi dhadakta hai
Toh maan logey kya tum

Agar mai kahu ki meri sari nazmein 
aaj bhi tumhi par banti hain
Toh maan logey kya tum

Aur agar mai kahu ki itne azaabon ke baad bhi 
Mai kabhi tumse nafrat nahi kar pai
Toh maan logey kya tum

Bolo...maan logey qa?

  -Niharika

©Niharika Agarwal #Tothefigmentsofmyimagination

IG- niharikaagarwal10