Nojoto: Largest Storytelling Platform

Ae Aalas Ab Tum Kyu Nahi Aate, Kyu Bar Bar Maa Se

Ae Aalas Ab Tum Kyu Nahi Aate, 
Kyu Bar Bar Maa Se Muze Jagwate, 

Din bhar daudta rahta hu fir bhi, Aaram nahi, 
Tum kyu nahi kisi bahane, yaha bhi pahuch jate.. 

Subah se sham tak tumhare bagair kuch nahi hota tha, 
Vo bachpan me teri hi vazah se maar khate.. 

Fir bhi kabhi tuz par na koi malal Aaya, 
Bhale hi tere bahkave me kiye ki ham saza pate.. 

Kash ki kabhi fir se mana kar pau apne kaam se, 
Yu le jakar muze, kyu nahi fir bachpan se milwate.. 

Gadi ke kato sa daudkar bhi peeche rah jata hu, 
Kash vo beete din fir se laut aate.. 

Ae Aalas ab tum kyu nahi aate.. 😊😊😊😊 #Laziness #bachpankibaat 
#yaadein #dilakaarman
#life
#bachpankimastiya

safar8694129983586

Safar

New Creator