Nojoto: Largest Storytelling Platform

Dharam se nahi dharam k Naam par sarkar chalate ha

Dharam se nahi dharam k Naam par sarkar chalate hain 
Ye rajniti hai sahab kabhi mandir to kabhi masjid girate hain 
Prajatantra ko paleeta to bahut pahle lag chuka tha ye 
Jane kitne jhadu le poora bharat saaf kara chuke the ye
saaf ho gyi Ganga itni ki shiv jatao me  usey fir se sajate hain 

Aam admi k dard se waqif itne hain ki Ro jate hain 
samay k paband itne ki flight me hi so jate hain 
Har mitti se nata hai inka yaha ki ho ya mangal grah ki
Vikaas  kar chuke hain itna ki ab videsho me bhi dhol bajate hain. 
Note bandi kar bharat ka arthik maha shakti me Naam ginate hain 

Insaan ko Hindu Muslim me baant jag hasayi kyu karte ho 
Sapere to pahle hi kah chuke ab madari khel kyu karte ho
Abhi to ek kanhiya jinnah bana asli jinaa ki to khali tasveer hai
Har ghar se ek jinnah nikle aisi ladayi kyu karte ho
Hum to aaj bhi eid diwali me ek dusre ko pyar ki sharbat pilaate hain. 
Ye rajniti hai sahab kabhi mandir to kabhi masjid giraate hain. 
‌Composed by-. B. S. . Rautela

balwantrautela5554

मलंग

New Creator