Bas baat itni si kahi Mai akela hi sahi. Karmpath ko agrasar rahu, Aviram athak nidar rahu. Sab shul taap sahta chalu, Nurjhar aviral bahta chalu. Sathi nahi to na sahi Sahara nahi to na sahi, Raah roshni dikhane ko, Sitara nahi to na sahi. Khud ki mashaal jala chalu, Sab Bediyan hata chalu. Ab jeet ho ya haar ho, Bhale kismat se rar ho. Chalna hi bas swikaar ho, Haar aisi ki jaykaar ho, Haar aisi ki jaykaar ho. ©SBK21 haar ki jaykaar