Nojoto: Largest Storytelling Platform

Chaar paise kamaye ye bhi ek khwaab tha, Bada sa

Chaar paise kamaye ye bhi ek khwaab tha, 
Bada sa ek ghar banaye ye bhi ek khwaab tha. 
Choodiya tooth jaati hai silbatte pe maa ke hatho ki, 
Use sone ke kangan pehnaye ye bhi ek khwaab tha.
Chipkaate the thook se maathe pe hum athanni, 
Khilono ki ek dukaan lagate ye bhi ek khwaab tha. 
Mumkin hai ab to karlenge safar jahaaz kab bhi, 
Kiraye ki cycle ke bus 2 round mil jaye ye bhi ek khwaab tha. 
Khwaab to dekhlete aaj bhi par ab neend kaha mayassar humko, 
Har khwaab ko bachpan ke pura karna ye bhi ek khwaab tha.

©irslan khan Bachpan ki kahani #safar #bachpan #BachpanAurMaa #Maa #khwaab #paisa #cycle #Zindagi #kahani