Nojoto: Largest Storytelling Platform

DURIYAN 2 Saal me kuch seekha ho ya na seekha ho

DURIYAN

2 Saal me kuch seekha ho ya na seekha ho par juth bolna aache se seekh gya hu..
Zyada mushkil nhi hai tumne bhi bola hoga , unhone tumse pucha hoga "Kaise ho ? Sab theek hai na ?"
Aur maine whi rata ratya huya jawab de diya " Sab theek hai. Aap kaise ho ?"
Par iss baar Soch himat kar bol hi deta hu ki kuch theek nhi hai maano main khi sukoon dhund raha hu , par milta hi nhi ..

Kitna aacha hota na ki ye umar tazarube ka lalach deke mere se mera bachpan na cheenti..

Kyunki sach batayu toh dosto ke sath weekend pe party karne me bhi woh maza nhi jo aapke sath Sunday ko ghap-shap karne me tha , Hostel ka khana ghar ke khane ke aage pheeka sa lagta hai ..

Aapka baat baat par tokna aur dantna aab sacha sa lagta hai ...
Ghar lautne ko mann karta par kya pta tha ki uske liye bhi festivals ka sahara lena padega.

Kabhi kabhi lagta kahi fahns gya hu kho gya hu , ghar ki bahut yaad aati hai ,apki daant bahut yadd ati hai

Kabhi toh bas apse gale lag kar rone ka mnn karta hai , phir unn purani si galiyo me khone Ko dil karta hai , Maa ki god me ghanto sir rakhke sone ko dil karta hai...

Ye sab bolne ki soch hi raha tha ki uss sawal ne dastak de di - "Kaise ho ? Sab theek hai na ?" 
Aur aansoo pochte huye maine kaha - "Sab theek hai. Aap kaise ho ??" Papa talking to his son on phone

#duriyan