Kuch Umar Ki Pehli Manzil thi .. Kuch raste the Anjaan bahut .. Kuch hum bhi Pagal the lekin .. Kuch wo bhi the Naadan bahut .. Kuch us ne bhi na samjhaya .. Ye Pyar nahi Aasaan bahut .. Aakhir hum ne bhi khel liya .. Jis khel mein tha nuqsaan bahut .. Jab bikhar gaye tab ye jaana .. Aate hain yahan toofan bahut .. Ab koi nahi jo apna ho .. Milne ko to hain insaan bahut .. Kash wo wapas aa jaye Ye Dil h ab sunsaan bahut ..!! ❤ Sunsaan sa